Farishte
Farishte Allah Ta'ala ki Noorani Makhlooq aur us ke Muazzaz bande hain, Woh Gunahon se Paak Hain, Din raat Allah ta'ala ki ibadat mein mashgool rehte hain, jin kaamon par Allah Ta'ala ne unko laga diya hain, un hi mein lage rehte hain, kabhi Alla Ta'ala ki Nafarmani nahi karte hain. Aur Hamesha Allah Ta'ala Ka Diya hua Kaam Baja laate hain.
Quraan me hain :
" Farishte Allah Ke Kisi Hukm Mein Us ki Naafarmani nahin Karte Nahin karte aur Wahi karte hain jis ka Unhein Hukm Diya jaata hain. "
(Sura-e-Tahreem:6)
Farishte Na Mard Hain Aur Na Aurat, Woh Khaane Peene Ke Mohtaaj Nahi Hain, Matlab unhe khaane peene ki koi zaroorat nahi hain , jaise ki Insaan ko khaane peene ki zaroorat hoti hain uske Thiq Ulat hi farishte ko Khane aur na hi Peene ki Koi Zaroorat hoti. Allah Ta'ala ne unka nizaam hi kuch aisa banaya hain ki unko khane peene ki koi zaroorat mehsoos nahi hoti hain. Unki Giza apne Rab ki ibaadat wa bandagi karna aur us ke ahkaam ko baja lana hain, Jis Tarah se Insaan Ko pet bharne ke liye khana aur pyaas bujhane ke liye peena padhta hain , farsihto ko aisi ke liye Allah Ta'ala ne aisa koi bhi nizaam nahi banaya.
Farishte Ibaadat se uktaate nahi hain, woh Ibaadat se takabbur aur aar nahi rakhte hain, Allah Ta'ala ne unko shaklein badalne ki taaqat de rakhi hain, Kabhi wo Insaan ki shakal me haazir hote hain aur kabhi doosri shakl mein, aasmaanon aur zameenon ke saare intezaamaat Allah ta'ala ne un ke supurd kiye hain. Farishte Beshumar hain, un ki tadaad Allah Ta'ala ke siwa koi nahi jaanta.
Qur'aan me Hain:
" Aur Tumhaare Parwardigar ke Lashkaron (Farishton) ko us ke Alaawa koi nahi jaanta."
(Sura-e-Muddassir:31)
Tuesday, June 18, 2019
Subscribe to:
Post Comments (Atom)


No comments:
Post a Comment