Farishton ki Tafseel
Allah T'ala ke Anginat Farishton me se 4 Farishte bahut Mash'hoor wa Muqarrab hain:
Allah T'ala ke Anginat Farishton me se 4 Farishte bahut Mash'hoor wa Muqarrab hain:
1) Hazrat Jibraeel عليه السلام
2) Hazrat Meekaeel عليه السلام
3) Hazrat Israfeel عليه السلام
4) Hazrat Izraeel عليه السلام
1) Hazrat Jibraeel عليه السلام
Jibreel عليه السلام Allah ke banaye hue farishte hain, jinhone hamare nabi
Hazrat Muhammad صلى الله عليه وسلم (PBUH) ko Quran ki aayatein Allah ke hukm se nabiyo aur
rasoolon tak pahuchaane ka kaam karte hain .Jibreel عليه السلام kayi tareeqe se Allah
ka kalaam nabiyo aur rasoolon ke paas pahuchaate .Kabhi wo Insaan ke shakal me
aate to Kabhi farishta banke. Hazrat Anas رضي الله عنه Aur Hazrat Abu Talha رضي الله عنه se
riwayat hain ki jab bhi koi Insaan hamare nabi Hazrat Muhammad صلى الله عليه وسلم (PBUH) Ko
darood bhejhta hain to Allah Ta'ala aur Jibreel عليه السلام bhi aap ko darood bhejhte
hain.
2) Hazrat Meekaeel عليه السلام
Hazrat Meekaeel عليه السلام Allah
Ta'ala ki Tamam Makhlooq ko rozi pahuchaane aur baarish wagaira ke intezaamat
par muqarrar hain, un ki maatehati mein beshumaar farishte hain, Unke Matehati
me Bahut se Farishte kaam karte hain jo Sabhi Makhlooq ko Rozi Pahuchaane aur
barish barsaane me madad karte hain. Baaz baadalon ke intezaam par muqarrar
hain, Baaz Hawaaon, Bijli aur kadak wagaira par aur baaz Dariyaaon par,
talaabon par aur nehron wagaira par muqarrar hain.
Hazrat Meekaeel
Woh
Tamaam Cheezon Ka Intezaam Allah Ta'ala ke Hukm ke mutabiq karte hain.
3) Hazrat Israfeel عليه السلام
Hazrat Israfeel عليه السلام Qayamat
ke Din Soor Phookenge. Allah Ta'ala ne unko is kaam ke liye Muqarrar Kiya hain.
Allah Ta'ala ke Hukm se Wo is kaam ko anjaam denge.
4) Hazrat Izraeel عليه السلام
Hazrat Izraeel عليه السلام makhlooq
ki Rooh Qabz Karne par Muqarrar hain. Un ki Maatehati mein, beshumaar farishte
hain, Momin bandon ki jaan nikaalne waale farishte alag hote hain aur kaafir
bandon ki jaan nikaalne wale farishte alag hote hain aur kaafir bandon ki jaan
nikaalne waale farishte alag hote hain.
In 4 Mash'hoor Farishton ke alaawa aur farishton ka zikr bhi Qur'aan wa Hadees mein Kiya Gaya hain, Jin mein se chand Farishton Ke Kaam Zikr Kiye Jaate Hain:
I) 4 Farishton jin ko " Kiraaman Kaatibeen" Kehte hain jin mein se 2 Din aur 2 raat mein har ek bande ke saath hote hai, ek bande ke saath hote hain, ek daayein kandhe par jo us ki neki likhta hain, doosra baayein kandhe par jo us ki buraai likhta hain.
II) Kuch Farishte Aafaton aur balaaon se insaan ki hifaazat karne par muqarrar hain, jo aage peechhe se us ki hifaazat karte hain, jin ko "Hafazah" kaha jaata hain.
III) Kuch farishte insaan ke mar jaane ke baad qabr mein us se sawaal karne par muqarrar hain, jin ko " Munkar Nakeer " Kehte hain.
Allah Ta'ala ke tamaam farishton par imaan laana zaroori hai. Jo un ka inkaar kare woh momin nahin ho sakta hain.

No comments:
Post a Comment