Nabi Aur Rasool (Part II)
Pichli Blog ke saath hi
continue kar raha hoo jo ki Nabi aur Rasool Part (I) tha. Ab hum aage
janenge ki Nabi aur rasool ke baare me aur kya Aqeeda rakhna chahiye:
6) Jo un ke Paigaam ko maanta
hai, use sawaab aur Jannat ki khush khabri sunaate hain aur jo nahin maanta,
use Allah Ta'ala ke azaab aur Dozzkh se daraate hain.
(Sura-e-Saba: 28)
7) Woh Khud bhi achche kaam
karte aur bure kaamon se bachte hain aur doosron ko bhi us ka hukm karte hain.
(Al Irshaad Ila
Sahihul Eteqaad: 1/169)
8) Allah Ta'ala Unhein Moajaze
ata karte hain.
(Sharahul Aqaaidun Nasafiyya: 134 Meem)
9) Allah Unhein Gaib Ki bahot
si baatein bataata hai.
(Sura-e-Aal-e-Imraan:179;
Sura-e-Jin: 26-27)
10) Tamaam Nabi aur Rasool
Insaan the aur sab mard the koi aurat Nabi aur Rasool nahin hui.
(Sura-e-Yousuf: 109)
11) Nubuwwat wa Risaalat Allah
Ta'ala ka diya huwa atiya hai, us mein aadmi ki koshish, iraade aur ibaadat ko
dakhal nahin, isi liye koi Wali chaahe apni mehnat se Allah ke yahaan kitna hi
martaba haasil kar le, kabhi kisi Nabi ke darje ko nahin pahoch sakta.
(Safwatut
Tafaaseer: 1/150; Sharahul
Aqaaidun
Nasafiyya: 164 Meem)
Nabiyon mein sab se pehle Hazrat Aadam عليه السلام aur sab se aakhir hamare Nabi hazrat Muhammad صلى الله
عليه وسلم tashreef laaye. Chand Mash'hoor Nabiyon ke naam ye hain:
1) Hazrat Aadam عليه السلام
2) Hazrat Nooh عليه السلام
3) Hazrat Idrees عليه السلام
4) Hazrat Ibrahim عليه السلام
5) Hazrat Ismail عليه السلام
6) Hazrat Yaqoob عليه السلام
7) Hazrat Yousuf عليه السلام
8) Hazrat Moosa عليه السلام
9) Hazrat Dawood عليه السلام
10) Hazrat Sulaimaan عليه السلام
11) Hazrat Isa عليه السلام
(Sura-e-Ambiya:
48-85; Sharahul Aqaaidun
Nasafiyya: 135 Meem)
Ambiyaa-e-Kiraam aur Rasoolon ki Taadaad ke Muta'alliq sahi aqeeda ye hain ke un ki koi khaas taadaad muqarrar na ki jaaye, balke ye aqqeda rakha jaaye ke duniya mein Allah Ta'ala ke bahot se Nabi aur Rasool aaye hain, sab apna apna tableeg ka fareeza ada kar ke chale gaye, sab par Imaan laana farz hain, un mein tafreeq karna yaani baaz ko maanna aur baaz ko na maanna kufr hain.
(Sura-e-Baqarah: 285; Sharahul Aqaaidun
Nasafiyya: 138 Meem)










